Hum hamesha aansu wala rona nhi rote kabhi2 dusre insaan ki mushibaatein dekhkar khud se waha cheez mahsoos ho jati h.
Aaj jb whatsapp m iss baat ka pta chala tb ye khabar dil dehlaane wali thi qunki jis shahar m mai pali badi or maa ko bus se kuch time utarne se phele kharib raat k 10bje bhi m garv se kehti thi mai khud se akele aa jaungi , mujhe lene aana ki jarurat nhi h . Ye delhi nahi h mai apne seher aa rahi hu . par aaj jab ye khabar padi toh vishwaas uth gaya . Duniya taraki kare toh accha lagta h par insaan ki soch wahi ki wahi reh jaaye ye bardasht mujhse nahi hota .
Kya bigada tha bhala uss nani masoom si ladki ne tumhara jisse tumne apne hawas ka shikaar bna liya. kitni nadaan thi wo , duniya dekhna toh door uski zindagi unn nanhe munhe dosto or khel khilono or maa-paa k pyaar tak seemit thi .
7saal ki nani ladki ka gangrape. Ab or kya isse jada bura crime ho bhi kya skta h . Mann bharne k liye ek nadaan ko he shikar bana diya. Lanat h aise logo par jinki soch itne istar ki he reh jaati h . Wo zindagi m kar bhi nahi sakte kuch. qunki jab dimaag galat jagah chalta h toh hiroshima nagasaki ya gangrape jaise he kaand hote h .
Kisi ko tang karke agar kuch samay ki khushi bhi mil rahi h toh ye mat bhulna duniya gol h or karam k aage sbko jukhna he padhta h . Kaunse Damini hatyakaand waale khushi ki zindagi jeekar maze kar rahe h .Wo khud iss duniya ki mitti m veelein ho gae h. Baghwan nahi chorta kisi ko . Mere samjhaane se kaunsa duniya palat jaaegi par m apna karam kar rahi hu qnki kisi ka bhala karke mjhe khushi milti h toh usmein mujhe koi pareshaani nhi hai.
Shikshit hona ya duniya ka sbse ameer insaan hona koi badi baat nahi h . Soch ko woh isthan do ki tmhe apne aas-paas walo ko badlne ka hosla rakho.
Swami vivekanand bhi humari tarah he insaan the par istihaas k panno m usse he yaad kia jata h jisne duniya ko kuch dia.
Logo jisne bhi wah ghatiya kartoot ki h usey baghwaan nhi bakshegi meri vaani lagti h jab sach mann se baghwan se kuch maango toh .
Uss ladki ki aatma ko shaanti mile . Pyaari 7saal ki bacchi.
Tm jaha bhi ho ab baghwaan k paas ho wo tmhara bhala karega or sbse badla leke rehga . Tum bhi kisi ko mat bakshna.
Jaanbhujhkar hindi m likha h qnki aaj wali ghtna ne meri rooh pe asar kia h. or jab wah pareshaan hoti h toh khud se shakti aa jati h.

Tags: Anger, Hatred .