Mahapalika ke kareeb waali imarat mein
ek saalon purana baragad ka paed hai,
Deewar se kuch sata sa ate jaate raahgiron ko,
aksar apni chaanv se raahat baantata hai wo.

Sab kehte hain yun kal hi kuch dangai,
iski chaanv mein insaaniyat ko aag laga kar haath senk rahe the.

Aisa lagta hai jaise kal ki hi baat ho,
jab wo boodhi amma iske neeche baithe
uss azaad chidiya ko daana khila rahi thi.
kehte hain wo ek chidiya har roj aati thi
pandrah august uska janmadin tha, jo pyaar se amma ne khud rakha tha.
Badi khush dikh rahi thi amma,
'ispecial' daane bhi laayi thi.

Aaj dekha to wo chidiya muh fere aasmaan ko taakti
sabse unchi daali pe jaa baithi thi,
amma khoob bulati par wo neeche hi naa aati.

Kal shayad usne azaadi ka gala ghuntate dekha hoga.

Saawan ki fuharar mein kal tak wo bargad ithlata khada tha.
Aaj deewaron me china behal sa khada hai.
Kyun na ho behaal?
kal raa aai khoonni baarish me maasumiyat ko marte jo dekha tha usne.

Aaj pandrah august hai, sab ore azaadi ki lehar daud rahi hai,
bus wo chidiya dikhai nahi deti jiska janmadin tha.
Bargad kuch sehma sa lagta hai,
patthron mein kaid bebas sa.

Uski chaanv me khada ek insaanon ka zatha tiranga liye naare laga raha hai,
Kal inke hi hathon me wo mashaalein thi jisne sheher me aag lagayi thi.
shayad dar usse beete hue kal ka nahi,
aane waale kal ka hai.

http://keepreadingkeepsmiling.blogspot.in/#!/2012/08/mahapalika-waala-bargad.html

Tags: WBC

Sign In to know Author