Mere pyare Amish,
Tumhe mai karti hoon bohott miss..
Jb bhi dekhti hoon film krish
Tum yaad aa jate ho pyare Amish..
Kyun ki tum mujhe bilkul waise hi lagte ho,
jaise Hritik roshan in krish..
Ab to meri pyari si sis(sister)
bhi tumhe bulati hai jiju krish..
Kya bataun tumhe mere pyare Amish
Tumhare bina aise tarapti hoon,
jaise water bina fish..
Aksar yaad aa jata hai tumhara
wo pyara sa,, Anti-bacterial flying kiss..
Really Amish..
Mai tumhe karti hoon bohott miss..
Isliye jaldi aa jao mere pyare krish,
Nahi to mai ho jaungi tumse miss..

Kyun ki mujhe kal hi dikha hai Kumaar
Dikhne me lag raha tha bada shaandaar
Chadhne laga hai mujhpar uska bukhar
Uska poem bhi hota hai bada majedaar
Ab to Kumaar ko hi banaungi,
Apna Rajkumar..
But maine suna hai charcha in Bazaar
Aur padha hai news in akhbaar,
Kumaar karta hai kisi aur se pyaar
to kaise karega wo mujhse aankhe-chaar
Chhodo jane do..
Kumaar nahi hai mere pyaar ka haqdaar
Uske jaise mil jaenge bazaar me hazaar..

Kumaar nahi to Amit chalega,
Wo to mere harek isare pe daurega..
Lekin darr lagta hai, bada gussail hai,
Kuchh bhi kar dega..
Aaega gussa to zarur thok dega..
Chhodo Amit ko..
Ab Himanshu se hi pyaar badhana hai..
Arreh nahiii...
Himanshuka to commerce class se rishta bohott purana hai,
Uska to commerce class ki ladkiyon pe hi nishana hai..
Jane do Himanshu ko,
Ab Buddhinath hi thikana hai
Shayad usi ke paas ab jana hai..
Buddhinath bhi nahi mila to,
Arun se ja takraungi..
Arun se hi pyaar ke rishte banaungi..

Agar yahan bhi kar gayi miss
To wapas aa jaungi tumhare paas,
mere pyare Amish..
Tum chinta matt karna mere pyare kissmiss,
Meri pyari si sis tumhe wapas se bulaegi jiju Krish...

[NOTE:- The characters or names(Amish, Amit, Himanshu, Buddhinath, Arun) used in this poem are all my classmates.]

Tags: Funny poem

Sign In to know Author