Fir milenge vo fursat ke pal,
Jahan Jindagi ka rukh shaant hoga,
Har lamha, har pal tujhe hi khoj raha hoga,
Par abhi to tujhe badhna hai bas chalna hai,

Jo sach hai vahi teri khoj hai,
Jo mumkin nahi vahi teri manzil hai,
Aksar log hus denge tere is lakshay pe,
Par abhi unhe samjhane ka waqt nai,

Tu kaun hai, tu kya hai,
Jo tu sochta hai vo sach nahi,
Har pal ek juth hai, tera koi astitva nahi,
Par abhi un jawabon ka bhi waqt nahi,

Tu akela tha, akela hai,
Honge hazar jinhe tera eitbaar hai,
Par abhi kisi aur ke saath ki jarurat nai,
Tujhe vo pana hai Jo mumkin nahi....

Sign In to know Author