Waqt ki bandishon mei dubi ye kalam,
Aksar mujhse sawal kiya karti hai,
Kyu khamosh ho ab tak?
Kya vo jakhm ab tak bhare nahi,
Ya vo jakhm kabhi dil pe the hi nahi?
Ye sun aksar musukra diya karta hu,
Bas use ek dafa yaad kar , jakhmon ko kured,
Fir vahi ishq ki daastan usi kalam ki jabani bayan kar diya karta hu,
“Ye Jakhm dard nahi teri yaad saath laate hain,
Hum roz paani se nahi, aansuon se nahate hain.

Sign In to know Author