I know I am in no position to shed some light on something new regarding this,which you people don't already know . But this post is just to share,what I feel and what I know about the effect of "I,Me,Myself" .

Well, aaj-kal jo ye zindagi jee rahe hain hum log,ekdam mechanical hai.. There's no life to most of ours' lives.. There's competition going on in each and every field starting from taking birth to finding a place for cremation . Aise me aage rehne ki chaah har kisike mann me aati hai. Aur wohi log har kshetra me aage rehte hain jo baaki sab ko pacchadne ki himmat ya kabiliyat rakhte hain.

Yahan tak toh sab sahi hai, par jab log khudse issi jeet k wajah se obsessed ho jaate hain,tab hoti hai problem. Jaise-taise..kaise bhi kar k jeetne ka bhoot sawaar ho jaata hai unnpe. Sahi-galat ki pehchaan bhul jaate hain log. Aur jab jeetne ki fitrat pagalpan ban jaati hai tab khud k saamne baaki saare log chhote lagne lagte hain. Behaviour, mentality saari cheezein badal jaati hain. Khud ko bhagwaan maan ne ki galati kar baith te hain wo log.

Aur phir sabko pata toh hai hi aise logon k saath rehna kaun pasand karta hai !! Bhale hi unn ke success ya power wajah se kuch log pair chhat te hain unn k, par dil se koi chaahta nahi hai unhe. Kitne bhi andhe ho jaye,andar se hamesha ek kami si mehsoos hote rehti hai. Ki kaash koi apna hota,koi toh hota jo humse do meethi baatein karta. Zindagi ki bhaag-daud me aur jeetne ki nashe me har koi peeche chhut jaata hai. Aur reh jaate hain wo akele, tanha, apni safalta ki choti par pahanchte toh hain,parr koi hota nahi jiss ke saath mil kar jashn mana sake. Soul ki purity ka satyanaash ho jaata hai issi "i,me,myself" k chakkar me. Saamne me bhale hi koi kuch bole na,peeche sab gaali dete hain. Dua toh nahi bas daga milti hai. Aise me koun insaan dil se khush ho sakta hai ?? Kya "Ahem-bhav" k wajah se insaan itna andha ho jaata hai ??

Pata nahi.. !!

Mera toh yehi kehna hai ki .. Winner bano,par apni moral values mat bhulo. Jeeto,par jeetne ki chaah se; na ki kisiko haraane k liye. Bahat antar hota hai inn dono me. Jab hum iss "Ahem" ko bhul kar purity of the mind and soul k saath kaam karenge na,tab dil ko sahi waali sukoon milegi. Aapki khusshi me laakhon log dil se sareek honge.

Insaan ek social - creature hai. Issiliye hum logon ko khud me se bahaar nikal kar aas-paas k logon k baareme sochna chahiye. Busy life k wajah se agar kisika kuch accha nahi kar paa rahe,toh atleast kisika bura na kare.. Tabhi toh value of the society badhegi. Logon ka living standard improve hoga. As a whole,hum logon ki izzat badhegi. Examples diye jaengi hamare unity ki aur bhai-chaare ki. .

Issiliye doston, Khuda k liye, Khud ko bhulo..Laakhon me sama jao.. Apne zinda hone ka karz adaa karo.. Apni zindagi ko anmol banao.. "Ahem" ko bhul "Sarve bhavantu Sukhinah !!" ko mann me basao..

:) :)

Tags: LIFE

Sign In to know Author