Aaj kai din baad tu yaad aaya.
jise bhul chuka tha mai ab tak,
Wo ehsaas saayad wapis hai aaya.
Jab karib tha tu mere,
Tujhe mai samaj na paaya,
Aaj tu mujhe kuch yaad sa aaya.
Tujhme doob jane ki khwahish ne hai,
mujhe har pal sataya,
Aaj mai tujhse jurne,
Tere kinare tak hun aaya.
Tere yaad ne bare jaane pehchane se
raaste par hai mujhe laaya,
Teri yaad ne mujhe har pal sataya,
na ho sake agar sath hum dono,
to tune hath firse kyon hai badhaya?
Aaj teri yaad ne mujhe,
pal me hasaya,
pal me rulaya.
Yun kehta rahon
to sayad aaj lafs kam par jayen,
kya karoon?
Mujhe tera yaad jo hai aaya...
Wo khoya ehsaas sayad wapis hai aaya....

Sign In to know Author