Shaam Dhalti nahi ki 

Kadam wahi ajaate hai 

tere sath fursat k do pal

na jaane kyu dil k kareeb ajate hai 

 

uss shaam mai baatein bhaut ki thi tujse 

magar

wo tera mujko nazron se padhna

wo tera mujko yun takna 

achaa sa lag raha tha ye sab

 

yaad hai mujko aaj v wo sham

jo har roj aati hai 

mujko teri yaadon mai lapet k le jaati hai 

 

umeed thi 

bhul jaungi sab kuch 

magar har dhalti shaam k sath

 teri yaad sath hoti hai 

kimnti tha tu mujko 

shayd ye tu samaj na paya

 

 

Sign In to know Author