Subah teri awaz aati thi, meethi si neend se uthane
ab tu sapnon me hi jaga kar chali jaati hai.

Teri aankhon ki chamak dekh, din roshan ho jata tha,
ab to bas main hoon aur us tasweer k jalne ka ehsas...

waqt nahi hota aaj kal, na tere paas na mere paas;
pyaar ki bhasha me baat karne ka!

Aaj kya hua aur kal kya hoga ki guftugu me hi
naukri se nikala hua waqt khatm ho jata hai.

jab waqt hi waqt hota tha tab balance nahi tha
aur ab jab paise hi paise hain to waqt hi nhi milta

kabhi to aisa lagta hai ki mann hi na ho baat karne ka,
par ye maan k so jata hun ki busy hogi wo!

mere hisaab se sab nahi ho sakta, aisa kehte ho ap
par kya apke sapnon me duniya khoobsurat nhi hai!

kitna rota hun main, aisa kehte ho ap
fir bhi kabhi main nhi samajh pata, to kabhi aap?

good morning aur good night bhi formality si ban gayi hai;
miss you, love you bhi apki taraf se aye hue arsa ho gaya!

ekraare mohabbat k baad bhi,
ektarfa sa lagta hai maamla!

ye bas aaj kal ki baat lagti hai,
parso aap fir sachmuch mere paas aa jaoge!!!

aisa manta hun main,
khush rehna chahta hun main,

apke sath rehna chahta hun main,
khush rehna chahta hun main!

kya zaroorat se zyada chahta hoon main
bas khush hi to rehna chahta hun main!

Sign In to know Author