Aaj baitha tha akele
ki fir unki yaad aai....

Youn to hum bhula chuke the unhe
lekin kambakth ye tanhai...

Unki chahaton me thi kasish
ya dil ne yaad kiya hai....
Unki ankhon ki chamak ne
Fir se kuch kaha hai....

wo batein,wo ratein aur wo unka muskurana
palkon me aakar dil me sama jana....

Roshni ki tarah aana aur andhere me gum ho jana
unka wo ruthna aur khud maan jana....

khusiyan jaise rooth si gayi bas gum ka sahara hai
na koi manzil hai na koi kinara hai....

ankhein bhi nam hai, dil bhi udas hai
unke jane ka na jane kaisa ehsaas hai.....


kabhi wo sagar ki uthti lahrein ,kabhi barish ka bahta pani
wo beete chand lamhe lekar dard bhara samiyana......
yaad dilata hai mujhe mere zindagi ka humsafar ,,,,jo sahil me kho gaya!!!!!!

Sign In to know Author