Jhoothe dilaase ki kasak mein
Ek hanste aansu ki lalak mein
Mere mann ke jharookhe se utthi hai awaaz
Mere laaj se lipatti hai zamaane ki alfaaz
Main hun ek kaed gudiya, aanchal mein panapti
Main hun ek kachchi zindagi, dikhawati naaz mein palti
Par, kis dwesh ki pehchaan hun main?
Kis aanch ki shikaar hun main?
Main na jaanu, par tu agle janam mohe bitiya naa keejo.

Uski keemat ki boli se sajti meri doli
Kadwe shaan ki jhalak thahri meri roli
Mere har ruukte kadam karte hain uski kayarta ka aahwaan
Fir bhi sanskar ke panghat par nichhawar karti hun main praan
Main hun ek roshni, har shaanjh ko dhalti
Main hun ek chunauti, har peeda ko jhelti
Par, kis dhwani ki raag hun main?
Kis anubhuuti ki mehmaan hun main?
Main na jaanu, par tu agle janam mohe bitiya naa keejo.

Mujhe hai mere karm ka sahara
Meri har kuubbat ko gya hai nakara
Heenta ki ufanti lehar mein roz safar karti
Paraajay ki baarish par jeet ki indradhanush banti
Main hun ek madhosh, behti fiza, na ruukne waali
Main hun ek prashna, naa sulajhne waali
Par, kis bhuumi ki maan hun main?
Kis tapasya ki anjaam hun main?
Main na jaanu, par tu agle janam mohe bitiya naa keejo.

Tags: Hindi

Sign In to know Author