aik shaam the...

asmaan pe moti umad aarhy thy...

na jaanay hum waha kiun jarhy thy?

aankho me umeed the...

dil k liye to eid the...

aik lehar the bechaini ki...

jhuki gulaab ki tehni the...

main ne aik gulaab tor liya...

tehni ne bura manaya ,rukh mor liya...

 

 main aagy aagy chalta gya..

dil zor zor se dharakta gya..

zehn me khayaal aik he tha...

himmat aaj jo baaandhi hai...

 or tabiyat  ishq ki baaandi hai...

ab to bera paaar hua...

aaj to qasam se iqraar hua...

 

main chalta gya...chalta gya..

aik haveli the or aik sarak the...

haveli me  diye jalty thy...
sarak pe kharay ...

hum haath maltay thy....
 

gulaab ne kaaanta chubo diya

ashko ne jese mujhe dubo diya...

main ne himmat to bhateri ki...

shayed  main ne deri ki...

Huwa yeh k...

lagayi kisi ne uski oonchi boli the...

usky ghr se uthne waali doli the...

hum ab us shaam k rehm o karam pe thy...

Haveli ki roshniya mujhe jalati the...

sarak pe gaariya mujhe rond jaati the...

Main kuch bhe aakhir kar na ska..

Himmat ki ,aagy barh na saka...

 

Ultay paao me lot aya...

Khud k ishq me khot paya...

dimaagh ne dil ki sarzinish ki...

tujhe ishq k daaam maaloom nhi...

" lekan tu muqadar se mehroom nhi"

phr.....

main chalta gya ....main chalta gya...

Dino , saalo saal main chalta gya..

ab quwat hai khareed ki meri...

wo aik shaam  eid the meri...

ab boli me bhe laga skta hun...

har roz ko holi bana skta hun...

ab dil chaaahy jo kar skta hai...

Par aik ishq hai ,kese kar skta hai?

aik ishq hai, kese kar skta hai?

 

 

 

Sign In to know Author