kya koi samajhta hai mujhe,
Kyun koi nahi samjhta hai mujhe,
Kyun mai roti hu,chillati hu,
Kyun mai hasti hu,ghabrati hu,
Kabhi idhar toh kabhi udhar rehti hu,
Kyun nadi ki tarah beh jati hua,
Kyun nahi samjhey log,
ki mujhe kya chahiye,
kyun nahi samjhtey mere ma baap ki mujhe kya chahiye,
kehte hai wo log ki tum ladki ho,
kehte hai woh log ki tumhari ab shadi honi chahiye,
kyun ye kaha jata hai ki mai kahin akele ghum nahi sakti,
kya mai apne desh me bhi aadhi raat ko aa nahi sakti,
kyun mujhe apne aap ko bachana itna zaruri hai,
isse accha toh jaanvaro ka jivan hai,
Kya apne hi desh me mujhe azaadi nahi,
kya apne hi desh me mujhe kahi jane ki izazat nahi,
kyun mai nahi kar sakti jo sab ladke karte hai,
kyun mujhe har pal yaad dilaya jata hai ki mai ek ladki hu,
itne kyun hai mere paas aur kehte hai woh ki humne tomhe padhaya likhaya hai ladko ki tarah,
fir kyun nahi jivan jina sikhaya ladko ki tarah,
kya agar mea ghumne ka mann kre toh koi sath hona zaruri hai,
kya kahi bhi nikalney k liye pass ho na zaruri hai,
kya mai apne jivan ka haq nahi rakh sakti,
kya mujhe pura jivan sahare se hi chalna hoga,
ye sab hotey hue bhi afsos mai kisi se bol nahi sakti,
isliye likh rahi hu ye kawita mai aj,
ki kal ko mai lakh kaabil ho jau kya mai apni azaadi pa nahi sakti

Tags: Inner self

Sign In to know Author