Bohat se khwab Paalay the…
Teri purkhwab Ankhon ne…
Abhi toa gard chhoi hai faqt tu ne khyalon ki…
Zara socho…
kaho dil se…
yehi who akhri Had hai jahan tak tum ko jana hai???
Yaheen tum apni hasrat ka
Paraao daal bethay ho???
Tumhein ho yaad gar tum toa
falak ko chhoonay niklay the…
Tumhein kyun kar ufaq bhar tak rasaai raas ayi hai…

tumhein maloom hai phir bhe???
Keh aankhein saans leti hain…
Har ik Manzar theher kr
ankh bhar kar
zindagi ki anch leti hain…
lapak leti hain rangon ki haraarat bhaanp leti hain...
gulon ka lams, chakh kr putliyon se, jaanch leti hain…
kabhi masoomiyat se tiltiyon k par uchak kr
kabhi Qos Qaza se barishon k rang chug kr…
khurch leti hain Hasti ki tahon se Kun k Maani bhe…
goa chun k rait k zaroan mein pinhaan khalq ki ayat
woh Qudrat ki phaili mein sharaarat bhaanp leti hain…
so who lahoot parhti hain…
Who dil mein aks bharti hain…
Jalein toa bheeg jati hain…
Who jeena seekh jati hain…
Unhein koi andheron mein agarcheh moond bhe dalay…
Who sapnay taknay lagti hain…
Amaawas ki shabon mein chondhwaeen ka Chaand takti hain…
phir aisi arzoo ki justajoo ko janam deti hain…
jissay Tabeer hona hai…
bhallay barason mein sadiyon mein
bhallay shijron mein hona ho…
ussayTakmeel hona hai…

Soa apni jin umeedon ko abhi tum haar bethay ho…
Tum un ko kya smajhtay ho??
Who koi phool ki patti hain jin ko masal dalo ge…
Ya phir koi khilona??
jun hi toota waqf kr dala…
Tum un se chhup nhi saktay…
Tum un se rooth k Katra k ghabra k
Chhura k hath apna raastay mein Ruk nhi saktay!!!
Unhein tum hi ne Janma tha…
so ab yeh berukhi kyun kr…
tum hi un k Maseeha the…
To apni haar ki sooli per phir unki bali kyun kr…

Tags: Poetry

Sign In to know Author