Woi chad-dar matmaili si reh gayi
Woi san-nata sannnnnn sunata jabhi
Koi ajnabee lagte they kabhi
Par aa gaye tum dil k bahut kareeb

Jahan jahan tum gaye
Kaash wahan main bhi jaa paati
Dukh sukh sab mei saath nibha paati
Itni nazdikiyaan kaafi nai humdum
Jeevan bhar ka safar tere kadam se kadam

Wo zaam ka nasha mujh par kya hi chadhta
Tumhare saath hone k baad kaun kitna hi theherta
Wo tumhare aagosh mei sab kuch bhool gayi
Par zindagi ka matlab tab hi toh jaan paayi

Kitna karna hoga intzaar tumhara
Kasht hai magar nibhaana toh hoga
Poore honge kya ye sapne
Khwabon se udd k kya haqiqat banenge is zindgaani mei
Tukur tukur, apalak kab
Haan, kab dekh paaungi tujhko
Har pal? Har chhann?

Sign In to know Author