socha nahi tha is tarah pyaar ho jayega..
baaton hi baaton mein dil yun kho jayega..
ek ajeeb sa, anjana sa ehsaas hai..
durr hai tu mujhse fir bhi lagta hai paas hai..
khoya rahta hun har pal, har lamha tujh mein hi..
lagta hai jaise sama gayi hai tu mujhme hi..
na jaane kyun aankh mein kuch nami si hai..
paas hai sab kuch fir bhi kuch kami si hai..
durr hoke tadpunga itna ye na ehsaas tha..
pata toh tab chala jab tu na mere paas tha..
teri baaton mein, teri yaadon mein khoya rahta hun..
jagta hun zamane ke liye fir bhi soya rahta hun..
khayalon mein bhi, khwabon mein bhi tujhse baatein karta hun main..
juda na kar de tujhse zamana, darta hun main..
jo na hona tha woh ho gaya, dil na khona tha woh kho gaya..
ek tere dil se awaaz aayi aur pyaar ho gaya..

Tags: Romantic

Sign In to know Author