Jis Qaum k MaALi bhoOKay hain!
Hafiz pe dehshat chhai hai!
Jahan jan ki qeemat sasti hai!
Jahan maut hai aur mehengai hai!

Jis des ka waali aish karay
jb janta bhookon marti ho!
Jahan Masjid bhe jageer lgay!
aur Munsif nira qasaai hai!

jahan Khas o AAM mein farqa hai!
Nestle hai per na nalka hai!
Jis nagar k zalim raja ne
ghanti oonchi latkai hai!

Jahan som o salaat bhe biktay hain!
Ehraam mein batway siltay haiN!
Jis qaum k Rab e Aqdas tak
sikkon ki khanak rasaai hai!

Mein aisay nagar ka bAasi hun
jahan khhotay sikkay chaltay hain!
Azaad nagar ne cholhon per
qarzon ki fasal pakaai hai!

Sign In to know Author