likhnay ko ab na koe khayaal baaqi hai...
baaaqi hai to bus khudka zawal baaqi hai..

sharartain ab hansi karti hain dil se jese..
bus tabiyaato ka meri,istehsaal baaqi hai...

chamak liye phirte thay jin aankho me...
un me barso ka ik malaal baaqi hai...

saahib-e-fehm mera na janay hai kahan?
hai wo kon? bus ye sawaal baaqi hai...

hai zid meri dharkano ki ,"jiye ja jiye ja"
mar to chukay kbky bus inteqaal baaqi hai...

chaaap meri khaamosh c,sarghoshi k jese...
tera teri khamoshi ka istemal baaqi hai...

tha muntazir is ghari ka barso se ab tak..
zulfi sab ho chala, abto bus wisaal baaqi hai...

Sign In to know Author