babumoshaaaaaaaaaaaaai. tum nahi jaante ki ye paapi pate insaan se kya kya karwata hai. main ek nalayak nakara aawara bhawara hua karta tha lekin iss paapi pate ne mujhe writerbabu bana daala. Arre tum kya jaano iss leekhak k zehan ki baat, tumhe to sirf likhe likhaaye dialog maarna aata hai babumoshaaai. babumoshaai hum bhi actor ban sakte the, haan humein pata hai. humein pata hai ki humme wo baat hai. hai wo baat humme. lekin iss bambai nagariya ki naach naachaniya mein kaheen k kahaan pahunch gaye. writerbabu ban gaye babumoshai. writerbabu ban gaye hum.

lekin likhne mein jo maaza hai na babumoshai, wo shayad kisi aur k likhe ko boolne mein nahi. insaan khud k andar ki aatma ko sunna hai, aur wo likhta hai jo aawaaz andar se aati hai. haan main maanta hun, ki kuch log uss aatma se baatein to karte hain, lekin usse samjha lete hain. khaamosh ho jaane ko. ussko bol dete hain, ki tujhe badalna hoga iss jeevan ki bhaagam bhaag mein aage nikalne ko. jaane kiske liye bhaag rahe hain? jinke liye bhaag rahe hain wo kisi aur hi disha mein chale jaate hain. bahoot muskil hai babumoshai. bahoot mushkil hai. haan main kuch keh raha tha. khair chhodo, kya rakha hai inn baaton mein. tum to bade aadmi ban gaye ho, badde baade logon k saath utna baithna. kabhi kabhi soochta hun ki insaan kisi ko bada bolta hai kisi ko chhota. aisa kyon hota hai. kya paisa hi sab kuch hai? nahi, iska jawaab to thoda sa mujhe bhi maaloom hai. paisa insaan ko bahoot kuch dila sakta hai. har kisi ki apni chahte hoti hain. gaadi bangla sundar biwi anur fir biwi ki zarooratein. haha, biwi ki zarooratein. insaan ko sach poocho to khud k liye kabhi kuch chaahiye hi nahi hota. haan mil jata to achha hota, lekin bas apne maa baap k liye kuch karna chahta tha main bhi. shayad issi liye paise chahiye the mujhe. mere khwaab hi kuch aise the ki zindagi mujhe iss mor par le aayi babumoshai.

arre babumoshai? babumoshaaai, so gaye kya?

Sign In to know Author