bachpan me socha krta tha ek din banunga main shehjada,
aasman se krunga baatein pashu pakshiyon ka main dada,
bachpan me socha krta tha ek din banunga main shehjada...

doodh ki nadiyan bahengi,lolipop pedon pe lagegngi,
choclate ka farsh ye hoga,tofiyan aasman se girengi,
bachpan me socha krta tha ek din banunga main shehjada...

taron ki jagah gubbare honge,chand par main baitha karunga,
suraj ki tej kiron se amrit ki bauchare hongi,
bachpan me socha krta tha ek din banunga main shehjada...

Sign In to know Author