Vah bolti mujhe,kachot-ti mujhe,
Tu kar rahi galat,nasamajh pare hat.............

Tu andhkar ke ,gart mein hai pal rahi,
Diye ki roshni ko,dhoop kyon samajh rahi,
Achchai par burai ki,jeet si tu lag rahi hai,
Jaane kis duniya ke,sapno mein tu ur rahi hai,
Sapno mein tu ur rahi hai.......................

Tu jaan kar bhi sab,anjaan kyon hai ban rahi,
Khushi ko choomne se,itna hai tu kyon dar rahi,
Uuchai aur dhalan ko ,saman kyon samajh rahi hai,
Ret ki tarah to bas tu,haath se phisal rahi hai,
Haath se phisal rahi hai........................

Khushiyon ke van mein paap ka,rang kyon tu bhar rahi hai,
Haseen si murat teri,ab daagdar dikh rahi hai,
Baar-baar na jaane kyon,paapi ki chaal chal rahi hai,
Zinda hai tu murda nahi,asthi si phir kyon beh rahi hai,
Asthi si phir kyon beh rahi hai.................

Mom si lagti thi jo,patthar ki aaj ban gayi hai,
Har chhoti-chhoti galti teri,gustakh mein badal rahi hai,
Safar yeh zindagi ka, napak tu to kar rahi hai,
Lambi hai tu dikhne mein phir bhi,chhoti si aaj dikh rahi hai,
Chhoti si aaj dikh rahi hai.....................(Ayushi Jain)

Tags: Guilt

Sign In to know Author