sayad uss pyar ke kabil na the kabhi,
jo tune mujhse se kiya hai,
uss yaad ke kabil na the ,
jo tumne mujhe diya hai.
hai hi kya mera jo mai tumhe de saku,
ek bas ye zindagi hi hai,
par wo to maine kab ka tere naam kar diya hai.

uss nanhi hath ko thamke jab mujhe chalna sikhaya,
uss bharosha se jab tune mujhe sheene se lagaya,
sayad uss pyar uss bharoshe ke kabil na the kabhi,
kyunki hai hi kya mera jo mai tumhe de saku,
ek bas ye zindagi hi hai ,
par wo to maine kab ka tere naam kr diya hai.

aaj jab tumhe meri jaroorat thi,
thi na mai tere sath,
phir bhi koi gila sikwa nhi kiya mere sath,
sayad uss pyar uss bharoshe ke kabil na the kabhi,
kyunki hai hi kya mera jo mai tumhe de saku,
ek bas ye zindagi hi hai,
par wo to maine kab ka tere naam kr diya hai.

khud se hi bharosha hai uth gya......
kal ko sayad apne vaade ko nibha saku aur bata saku,
ki hai hi kya mera jo mai tumhe de saku,
ek bas ye zindagi hi hai,
par wo to maine kab ka tere naam kr di hai.

Sign In to know Author