kayi dino se kitchen ki dhewadi pe,
nangi si, sehmi si, ek behes padi thi
jab paida hui thi wo, to royi thi,
ab apne hone ka gam manati hai.

uski galti nahi, na teri thi, na meri thi.
aksar waqt ka shor chuppiyan chod jaata hai
wo bechari to ab badnaseebi ki kavita likhti hai
ki kabhi tum aur main aayein saath,
to humein suna ke dum tod sake.

wo to ab bhi baithi hai shelf ke kone par,
ki galti se dheemi aanch pe gir kar,
wo narm kar de hamare adh-pake rishte ko.
ki ghol ke chala de wo soyi hui khushiyan
betaab hai wo apni saansein bujhane ko

chal aise hi kisi din duniya se rooth ke
wahan us kitchen mein jaate hain
agar main tujhe nahi aur tu mujhe nahi,
to us bechari ko to maar ke aate hain.

Sign In to know Author