Kuch roz se jo bandh padi thi kisi bakse mein
Wo boondein aaj phir shor macha rahi hain
Ansuni si unki wo aahat jaise bhula di ho kisi ne
Mausam ka darwaaza wo phir se khatkhata rahi hain
Garaj rahe hain baadalon mein kai sur jaise
Raag koi naya aaj chhed rahi hai wo bijli bhi
Geeli geeli sadkon par bheege se kadmon ke nishaan
Padh ke jinko pi jaa rahi hai har boond
Wo boondein ab bhi hain, thehri hain wahin
Wo sur ab bhi garajte mil jaate hain baadalon mein
Saanjh ghar aa gayi par koi puraani baat liye hue
Wo bijli ab bhi raag koi chhede jaati hai
Saj gayi hain wo kuch aahatein kaanon mein
Kab utrengi kuch bataaya bhi nahin ab tak
Filhaal beqaid hain wo ghoom rahi hain aangan mein
Inse keh do do chaar roz yahin reh ke jaayein

Sign In to know Author