Dil ka dard kese batae,
Aakhon k sagar tel lene jae,
Phone karo to gali suno
Nahi karo to "U dnt care..why".

Apni darling is baat se anjaan hai,
Manane ka time nahi, office me ∞ kaam hai,
Pyaar me suna tha dhadkane tez ho jati hain,
Apna to heart beat rate belagaam hai.

Character to apna pura kala hai,
Gale me jese affairs ki mala hai,
Possessiveness ka maxima kya batae,
Apna dil to dil nahi dharamshala hai.

World war 3 me admission ho chuka hai
Mahilaon k paas atom bomb hai suna hai,
Bach sakta hai to bhaag le munna,
Warna bamboo lekar tera pyaar piche khada hai

Tags: Humor

Sign In to know Author