Sochta hoon kabhi tujhe yaad na karun,
Shab-o-subah tere khayalon me barbaad na karun,
Aankhen band karu, to tere khayaal se aa jate hai,
Tab dariya-e-ashk me sailaab se aa jate hai,

Chupana chahta hoon in ashkon ko mai,
Mitana chahta hoon teri yaadon ko mai,
Saaye tere, mere piche piche aa jate hai,
Tab dariya-e-ashk me sailaab se aa jate hai,

Faasla hai bahut, darmiyaan apne,
Par ye sirf mere dimaag ka faisla hai,
Dhadkano me aaj bhi basi hai tu,
Ye dil-o-dimag me badi uljhan ka maamla hai,

Sangeen jurm se, ye muaamle ho jate hai,
Tab dariya-e-ashk me sailaab se aa jate hai,

Katra katra ashk, mai roz bahata hoon,
Jhooti is muskan ko, apne lab pe sajata hoon,
Khayal aata hai, jala du teri tasveero ko,
Par bade kareene se, apne ghar me sajata hoon,

Tasveer dekhkar, dil me jazbaat se aa jate hai,
Tab dariya-e-ashk me sailaab se aa jate hai,

Aas hai tujhko aaj bhi pane ki,
Khudko teri zindagi me, fir se apnane ki,
Fir tere aks ko khudse door karna chaha,
Koshish bhi ki maine tujhe fir se aazmane ki

Par tere kiye waade sare zehen me aa jate hai,
Tab dariya-e-ashk me sailaab se aa jate hai...

Tags: Gazal, Nazm, Own, Poem

Sign In to know Author