Darwaaze pe der se khada hua
Mere dilon ka zakhm
Dastak de raha hai
Ye aansoo bhi ab milna chaahte hain
Hothon ki muskuraahat se
Jo chhupe se the kuch dino se
Aankhon ki chilman ke peechhe

Har deewaaron pe meri barbaadi ke
Ishtehaar lage hain
Har gali har kooche har mohalle mein
Meri hi nakaami ke charche hain
Main kyun shikaar hoon is berehem aawaam ka?
Aur kyun majboor sa bas apni khushiyon ka
Qatl hote dekhta hoon

Khalaaon mein mere khayaalon ki tasveer hai
Meri soch mere khwaabon ki taqdeer hai
Mera zameer to mujhe kehta hai badhne ko par
Mera jism na jaane kyun amal nahin karta

Kisi kambakht parinde ki tarah udti hai
Meri tamanna
Jiski tamanna hai aage badhte rehna
Par zanjeeron ne jakde hue hain tamannao ke pankh
Aur wo ab khwaabon mein hi khud ko udta paati hain
Meri tamannao ki yehi daastaan hai
Par mujhe yakeen hai ki ye abhi bhi adhoori hai

Sign In to know Author