Ek dareeche se dekha maine
Dhoop ko aate hue
Aur padi wo ek
Masoom se chehre par
Ki aankhon ke darwaazon se
Neend chali jaaye
Koso door kahin

Wo dhoop shaayad
Dost hai
Us chehre ki
Ki wo chehra ab
Udaas lagta hai
Kyonki ab shaam hai aayi
Aur dhoop bhi
Karvat badal rahi hai

Us chehre ki muskuraahat
Jo kaafi hai
Kisi ko madhosh karne ke liye
Aaj ek kamre mein band
Ro rahi hai

Ek intezaar hai
Jo pal-pal
Badhta hi jaa raha hai
Intezaar
Shaayad us dhoop ka
Jo ab kal aayegi

Mere haath mein kalam hai
Par sochta hoon
Ki kya likhoon aage
Kya pata
Kal dhoop na aaye
Aur us chehre ka intezaar
Badhta hi jaaye

Sign In to know Author