Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya

Humne dil ko yeh samjhaya
…Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai

Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai

Jo kho gaya uske peeche naa jaa
Jo tere pass hai bas uss mei sama
Ashko ko barbaad kyun karta hai
Tanhaiyo se bahar kyun nai nikalta hai
Sochta uske baarein mein kyun hai
Jo tera kabhi nai hai
Dil aakhir tu kyun rota hai

Jo duniya tune dekhi nai
Uss ki ikchaa he kyun karta hai
Khawab ho yaa sapney
Ye toh bas parindey hai
Udne k liye bante hai
Tu kyun inse apna naataa jodta hai
Dil aakhir tu kyun rotaa hai


Ambar neela hota hai
Kyun itnaa badaa hotaa hai
Choone ki ikcha kyun rakhta hai
Iss neelepan mei
Vo ghera laal rang kyun dhoondta hai
Areey khoo jaayega tu
Iss baat ko kyun nai samjhta hai
Dil aakhir tu kyun rota hai :) :(

Sign In to know Author