Ek din mujhsey mere khayaalon ne kaha

"nahi pata mujhe kidhar ye raah le jayegi
mujhey ye rasta anjaan jaan padta hai
kaise mai aagey ispe chalne ki koshish karu
abhi se ye bahut hi namumkin jaan padta hai"

To Dil ne farmaya mujhse ki

"koshish karna to tera hi farz hai
koshish to ek jaanwar bhi kai baar karta hai
tu to fir bhi insaan jaan padta hai
agar koshish ki soch hi tujhey dara gayi
tab tu kuchh din ka mehmaan jaan padta hai

agar anjaan raho se dar kar ghabra gaye
tab kaise manzil paane ki sochoge
ye to uparwale ka imtehaan jaan padta hai
zara sa himmat,zara si mehnat aur dua mila le
fir dekh ye kitna asaan jaan padta hai"

Tags: Philosophy

Sign In to know Author