Zindagi ke raah pe do kadam aur chalna hai...

Jami dhool me chipi uss tasveer ko yu badalna hai...

Ki be-dakhal azaad jazbaaton ko jee sakun,

Kuch sooni iraade hain, jinhe abhi do kadam aur chalna hai...

...

Kal ko jaana hai waha, mud ke na fir dekhna hai...

Sehmi si saanso ko khuli hawa me, dobara jo ab jeena hai...

Abhi dhadkane dheemi hain par jaan baaki,

Aakhir bachi umar ke hauslon ko abhi do kadam aur chalna hai...

...

Na jaane khilkhilaati muskurahat se fir kab milna hai...

Ki inn jali-bujhi purani kisso se ab sambhalna hai...

Dhalti chahaton ne li hai ab angdayi,

Maddham si lau ko ab fir se jo jalna hai...zindagi ke khwahishon ko do kadam ab aur chalna hai...

Tags: Motivation

Sign In to know Author