EK BACHPAN KA ZAMANA THA"

Khushyon ka Khazana tha

Chahat Chaand ko paane ki

Dil Titli ka Deewana tha

Khabar na thi kabhi Subah ki

Aur na hi Shaam ka Thikana tha

Thak Haar ke aana School se

Par Khelne bhi to Jaana tha

Daadi ki Kahani thi

Pariyon ka Fasana tha

Baarish mien Kagaz ki Kashti thi

Har Mosam Suhana tha

Har Khel me Saathi thay

Har Rishta Nibhana tha

Gamm ki Zuban na hoti thi

Na he Zakhmo ka Pemana tha

Roney ki Waja na thi

Na Hasney ka Bahana tha

Ab nahi rahi wo Zindagi Dost !

Jesa BACHPAN KA ZAMANA tha:-*:->

Sign In to know Author