Ye Raahein
Kitni baatein hain, kitni mulakatein hain,
Kitni yaad hain, kitni bhula di
Safar ye shuru hua tha jab ek nanhi kali thi khili

Wo pehli baar aayi naye sheher mein,
Thodi ghabrayi si, thodi baukhlayai si
Ajnabiyon ke beech aapnapan dhundhti hui
Apno se thukrayi hui

Mile use kuch log, laga use jahan yehi hai
Pata chala haan yehi hai!
Makkari aur dhokhadadi,
Matlab ki duniya yehi hai

Doston ki shakal mein paraye to bohot dekhe the
Ek din dikha koi apna bhi, bus ussi din thhan liya
Yehi hai mera sapna
Jaldi nahi thi usko pyar ki,
Naa ladakpan ka junoon tha,
ishq tha who ya tha ek jazba
Wo pyar uska masssom tha

Har pal aankhen dhundhti thi usko,
Khil uthti thi ek jhalak paake uski,
Duniya dikhne lagi thi hasseen use ab,
Sawarne lagi thi duniya bhi ab

Haar subah ki hoti hai sham, kuch hua aisa yahan bhi
Pyaar ka anjaam jo hota hai, hua wohi yahan bhi
Darr nahi hai ab pyaar se usse, par ab wo pyaar nahi,
Muskurati to hai ye lab par aankhon se milaap nahi

Aankhon ke jharoke se dekhna kisi ko, ab use gawaara nahi
Kya kiya uss ek ajnabi ne,
Palat di uski duniya hi
Aaye bohot uski zindagi mein pyar jatane,
Dhondhti unmein bus unko hi

Jhuklati rahi khud ko aur samjhati rahi khud ko hi,
Nahi milega wo kabhi, jo kabhi tera tha hi nahi,
Kaise kahe use bewaffa, kabhi tujhe jab apnaya hi nahi,
Choor hue the jab sapne uske, umeed use tab bhi thi,
Aaj jab hai wo kisi aur ka, tab bhi chahta hai ye dil utna hi

Pehla pyar hai wo mera, bhulaye bhulega nahi kabhi,
Ab jab bhi koi aayega pyar jatane, hoga wo duuja hi,
Aas nahi hai ab tumse kabhi milne ki, na hai koi sapna bhi,
Bus shukr hai uss Rab ka milwaya tumse hi!

Tags: Love

Sign In to know Author