wo kisi khandak se aati roshni,

aur aankhen chakachondh si ho gayi hain,

teri yaden aakar jehan me bhi,

na jane kiski khatir ro gayi hain,

me ab patjarh ki sookhi daal par,

baitha parinda bann chuka hun,

jiski aawaaj sudoor chor tak jakar,

patton ke jhurmuth me kho gayi hai....

In barish ki boondon me bhi ab,

tapan mehsoos hoti hai,

in pedon ki hariyali bhi ab,

patjarh si hoti hai,

raaste manjil se hokar aa gaye,

nigahen ab bhi choti hain,

paar karne ko doobe the,

par dariya bhi kasoti hai,

sehma sa ek raaj seene ke,

kisi kone me aaj bhi hai,

jiski yadon ko nigahen,

ro rokar aaj bhi dhoti hain....

Tags: Yaadein