Gar nigaahon ki zubaan mein baat ho jaye
to koi baat jaruri nahi
maalum hai hume sab jawaab,koi kyu sawaal karte
ye niyat pehchaanne ko
koi sawaalaat zaruri nahi
gar khayaalon me hi wo saath ho jayen
to koi mulakaat jaruri nahi
ho gaya hai andhera mere kismat ki duniya mein
aur andhera karne ko
koi raat zaruri nahi
khogai hai khushi aansuon ki dariya mein
mere is registaan ko ab
koi barsaat zaruri nahi
aapke yaado ke saaye me na nikalega dum
hume jeene ke liye ab
koi kaaynaat jaruri nahi

Sign In to know Author