Ghar jaana hai mujhe papa mamma k paas
Jab door falak tak koi na dikhta na koi soojhta tha
Bas khelna aur khelna dhyan mei aata tha
Rona aata tha cheezein na milne par
Ab rona aata hai log na milne par

Ghar jaana hai mujhe papa mamma k paas
Jab be-sar-pair ki baatei karne par na koi tokta tha
Bas khel-khilone mei bada mazaa aata tha
Masti maarna chhoti chhoti cheezo k saath
Ab masti maarna wo sab logo k saath

Ghar jaana hai mujhe papa mamma k paas
Jab gile-sikwe khatm hote they bas yun hi chhoo mantar jaise
Bas hat-hatheliyon mei aangan mei samay beet jaata tha
Bhooli beesdi yaadein jaisi koi cheez thi nai
Aur ab na samay beet ta hai na yaadein

Bas ghar jaana hai mujhe papa mamma k paas
Sab kuch chhod k mamma ki aanchal mei, papa ki godi mei
Bilkul pehle waali ladli rani bitiya ban k

Sign In to know Author