Kyon krte ho ibaadat mazhab ki,
Gusthakiyan shaan mein uss rab ki.
Usne toh insano ko jana(ज़ना) tha , jab jhank k dekha toh insan kahan tha.
Lakiron se paat diya uss jahan ko , jisko usne humare liye jana(ज़ना) tha.

Jab rishte hi nahi rhe khoon mein , toh insaaniyat ki kya baat krte ho.
Bandagi krte ho matlab k liye , aur barkat ki fariyaad krte ho.
Banaate ho makhol uski di zindagi ka
Banaate ho makhol uski di zindagi ka , aur maut aane pe zindagi ki dua krte ho.

Zamino ki lakiren jab zameron pe chal jaati h ,
Insaniyat ko bhool , zihad ban jaati h.
Usne toh duniya ko ek banaya tha , tukdon mein toh tumne usse banta hn .
Toh fir kyun ,
Toh fir kyun apne hi kiye pe ladte ho .
Jina chahte ho jis aman aur chain k saath , kyun ussi k liye marte ho.

Ibaadat krni h toh kro insaniyat ki , uss rab ki .....
aakhir kyun ibaadat kisi mazhab ki krte ho.

Sign In to know Author