Bewafa nikli wo, bewafa uska ishhq,
uske vaadon ki, kuch iraadon ki,
zanzeer me yun bandha tha main,
bebas sa baitha raha kuch kar na paya.

yun apni awaaj ki surmayi goliyan
whisky me mila ke pila diya karti thi,
aur nadaan madmast sa main, har ghunt piye jaata tha.
ishaqzaada samajh ke khud ko,
uski mom si aakhon me pighala jaata tha.

naa jaanein kab ye palkein bhari si lagne lagi,
naa jaane kab raat ki chadar mujhko neend mein dhakne lagi,
wo chupchap dabe paanv chale jaa rahi thi mujhse dur,
usse kya maalum tha main aakhon ki kinariyon se saari raat
un dabein paanv ke lautne ka intezaar karta raha.

Tags: #love

Sign In to know Author