Haan ishq hote waqt hi kahan lagta hai hume,
Kabhi kisi bachche ki hansi se ho jata hai,
Toh kabhi halki baarish se...
kabhi shaam ko chalti thandi hawa se,
kabhi sooraj ki madhim tapish se...
kabhi aasmaan me udte panchhi se,
Kabhi swachhand behti nadi se...
Kabhi aankhon me lage kaajal se,
Kabhi barkha ke kaale baadal se...
Kabhi maa ke pyaar se,
kabhi papa ke aashirwaad se...
Kabhi lafzon ke khel se,
Kabhi market me lagi sale se!
Kabhi chalti train ki aawaz se,
Kabhi bajte hue guitaar se...
kabhi bhai-behen ki ladai se,
Aur college me pahuch ke school ki padhai se!
Kabhi hawa me udte baalon se,
Kabhi 5 saal ki bachchi ke sawaalon se...
Kabhi kisi bhari-puri phulwari se,
Kabhi kisi dost ki wafaadaari se...
Kabhi neem ki hariyaali se,
Kabhi aam ki daali se...
Kabhi shabdon ke maayne se,
Kabhi mujhe nihaarte aaine se!
Kabhi kisi ki muskuraahat se,
Kabhi diye ki jagmagaahat se..
Kabhi internet ki speed se,
Kabhi kisi ki height 6 feet se!
Kabhi samudra ke vistaar se,
Kabhi zaada discount ho toh big bazaar se!
Kabhi ret ke kanon se,
Kabhi dosti ke palon se...
Kabhi apne gaon ki khusbhboo se,
Kabhi kabutaron ki gutar-goon se...
Aur bhi tamaam cheezein hain jinse ishq ho jata hai...
Aur aise chhote chhote lamhon se jeevan saral ho jata hai... :) :) :) :)

Sign In to know Author