Itni jaldi thi kiya tumhe Ailee...
kuch intezaaar kar lia hota ..!!

waqt mojoood tha , kahan kam tha ??
kuch tou eesaaar karlia hota !!

Mas'ala waqt ki raftaaar ka tha ??
waqt ham'waar kar lia hota ...

Ek manzil pe bicharnay walay ...
usko , 'is-paar' kar lia hota ..

Uski 'ik' aur jhalak dekhne ko ..
rasta dushwaaar kar lia hota !!!

gar maseeeha' wo lagti thi tumhe..
khud ko beemaar kar lia hota ..!!

jo yaqeeen tha , wo kuch na bolegi ..
khud hi izhaaar kar lia hota ...!!!

jo nigaho'n k tasadum se hua ..
kuch tou ash'aaar kar lia hota !!!!

ailee ...-----

Tags: Love

Sign In to know Author