Zindagi iss haseen duniya ke jaisi hai,
Khushiya khareedne ke daam zyaada hai aur dukh muft mein mil jaate hai,
Par zindagi mein kuch aise funkaar bhi kadam rakhte hai,
Jinki harkaton ko dekhkar muskuraahat se honth sil jaate hai,

Joker woh hota hai jo apne par has kar sabko hasaata hai,
Joker woh hota hai jo apne khushiyon ki jaal mein sabko fasaata hai,
Joker woh hota hai jo dukh ke aansu ko sukh ka saagar banata hai,
Joker woh hota hai jo ghum ke aasman se hasee ki baarish barsaata hai,

Ishwar ne sabko ek samaan banaya hai,
Lekin insaan ne jaat paat ka yeh rivaaz banaya hai,
Joker ki sehmi hui zindagi mein dekhne ki koshish karna kabhi,
Usne toh sirf hasee ke mazhab ko apnaaya hai,

Apne chehre par rang lagaakar woh dusro ki zindagi rangeen bana lete hai,
Apni jaan par khelkar woh dusro ki yaadein namkeen bana lete hai,

Joker ke chehre par daag honge par unke dil mein kharaabi nahi hoti,
Joker ki kaali aankhon mein raaz honge par unke bina dusro ki muskaan gulaabi nahi hoti,
Yeh toh joker ki meherbaani hai duniya par,
Warna iss dukhbhari basti mein hasee ki aabadi nahi hoti,

Kuch joker insaan ka mukhauta pehenkar humaari zindagi mein aate hai,
Humaari musibatein dur karke humein khulkar hasaate hai,
Maana ki woh thode se alag hote hai dusro se,
Isiliye log kai baar unhe nazarandaaz kar jaate hai,

Uss joker ke kaarnaame dekhkar sabhi has lete hai,
Par koi uske dil mein jhaankne ka prayaas nahi karta,
Dusro mein khushiya itni aasani se baat lete hai,
Lekin uski zindagi mein koi sukho ki mithaas nahi bharta,

Joker ki ahmiyad har koi nahi samajh paata,
Apne dukh mein sab usko yaad karte hai par khushiyon mein koi nahi bulaata,
Itni dariya dili se logon mein muskaan bikhraata hai,
Isiliye shayad woh iss kathor duniya ke dilon mein nahi samaata,

Nafrat ke taale mein pyaar ki chaabi daalta hai,
Roothe hue chehre ko phoolon ki tarah nikhaarta hai,
Apna sammaan, apni izzat daav par lagaata hai,
Shayad isi achchai ki wajah se koi uske liye dua nahi maangta hai,

Dusro par bahut has liya, dusro ko hasaakar dekho,
Khushiyon ki mehfil mein hasee ka rang milaakar dekho,
Khudgarzi toh sirf nafrat ke taar kheechti hai,
Kabhi joker bankar dil ke taar hilaakar dekho,

Dukh ko chupaakar nafrat ka anjaam laate hai,
Jag ko hasaakar ek naya paigaam karte hai,
Apni zindagi mein khushi ke saaz chhednewale sabhi joker ko,
Hum sachche dil se salaam karte hai....

Tags: Clown, Joker, Circus, Love

Sign In to know Author