Ab shayad is jindagi ki umar puri ho chali hai..
Jindagi ka safar b ab thamne sa laga hai...
Bas ek tumhari dhundhli si yaad dil mei kahi basi hai...
Jiske sahare hi ye bejaan safar kat ta chala ja raha hai...
Ab to ye aaina b juth bolne laga hai...
Na jaane kiski parchai dikhane laga hai...
Khair ab to mujhe b kai baar shak ho jata hai...
ki vo parchai kahin meri hi to nai...
Fir mei aaine ko hi naadan samajh maaf kiye deta hun...
Sach jaankar b sacchai ko juthla diya karta hun....

Sign In to know Author