Kaagaz ke tukde par
Naam tera jab likhna chaaha
Syaahiyaan bhi rone ko aayi
Kalam ne bhi jawaab de daala

Baadalon ke gharon mein jab
Tera aashiyaana dhoondhna chaaha
Boondon ne dum toda baahon mein
Aasmaan bhi khaamosh raha

Tujhe tasveer mein jab dhaalna chaaha
Rangon ne tab shor machaaya
Yaad tujhe jab karna chaaha
Dil kyun ye mera ghabraaya

Kabhi aahaton ki bhi kahaani sun le
Un dardmandon ki zubaani sun le
Jo kabhi qaid the aankhon ke peechhe
Un khwaabon mein se koi khwaab chun le

Tujhse vaabasta har gham kyun hai?
Aankhein meri ye nam kyun hain?
Mutthi bhar khushiyaan chhupaayi thi kone mein
Aaj unhein nikaala to wo kam kyun hain?

Sign In to know Author