Dekhe hain kitne hi andheere raaton mein doobe saaye,
Intezaar hai uss bhor ka,
Dekhe hain dard mein rote bilakhte lab,
Intezaar hai uss sukoon ka

Kaise ek nayi subah, roshni ke sath layi ek gham,
Kaise unn anjani khushiyon ki talash ke bajayeshuru hui insaaf ki ek nayi jung,
Kaise insanniyat ka gala ghotne aayi haiwaniyat din dahare,
Kaise masumon ka khun bahake kisi ke dil ko aayi raahat

Unki cheekhein aaj bhi zehen mein gunjti hain,
Uss aangan na jana ye sandesa bhejti hain,
Kis mazhab ki baat kare ho,
Tarraki ka dhakosla bhare ho

Mazhab kabhi nahi hai sikhata
Kisi ka khun bahana, ashk kisi ke,
Aansun kisi ke,
Kisi ka sukun chura le jana

Jo chaati kal garv se chaudi thi,
Aaj usmein sarp lottein hain,
Kal tak kisi se bebaak jhagadna,
Aaj kuch kehte darte hain

Kis baat ki saza di us angaan ko,
Jahan kilkaari kabhi gunja karti thi,
Kis gunnah ka badla chukaya uss dil ne,
Kal bebbak muskaan jahan basa karti thi

Kab samjhoge aiy insaan,
Mazhaab ye nahi sikhata,
Masuumon ka khun bahake,
Kisi ka karm nahi chuk pata

Us kitab ke ik panne ka matlab,
Sau log tumhe batayenge,
Himmat jutao, Hosh mein aao,
Apni jagrukta ki taraf tum kadam badhao

Azaadi uss Rab ne sabko di hai,
Kisi ka sukuun na looto ab,
Apne karm ka socho,
Apne wehem ka socho, Hosh mein ab aao tum.

Jaago Aiy Insaan, Ab to Jaago!

Sign In to know Author