Bas itni si hai kahaani meri
Jo ban gayi hai nishaani meri

Khoya rehta tha kisi ke khayaalon mein
Dhoondhta tha jawaab sawaalon mein

Jawaabon mein mila mujhe gham tha
Khushiyon ka zakheera kam tha

Nigaahein muntazir hain nateeja dekhne ko
Ghamon ke tave par khushi sekne ko

Par khushi se zyaada gham mere kareeb tha
Dil ne bhi kaha ye mera naseeb tha

Udaasi chhaayi hai mere mustakbil mein
Aansuon ka samundar hai mere dil mein

Shikaayatein to mujhe bahut hain magar
Main har ek karoon khuda se agar

Dekhna wo bhi mujh par taras khaayega
Mujhe wo har waqt tanha hi paayega

Khuda to sabke dil mein ghar karta hai
Phir insaan kyun uski rehnumaai ke liye marta hai?

Ab mujhe har waqt dilaase to log dete hain
Par mere muskuraane ki wajah chheen lete hain

Bas yehi hai ab kahaani meri
Jo ban gayi hai nishaani meri

Sign In to know Author