Kis mukaam pe le aayi hai ye zindagi
Aaj mudd ke dekho to manzar naya hai
Kal jo log aapne se the humare
Aaj unke beech ajnabi sa lagta hai

Kahan gayi wo naadan muskaan
kahan gaye wo khushiyon bhare pal
Unn shararati palon ka zamana alag tha
Aaj Kisi ka saath bhi sahara sa lagta hai

Kya hua aisa jo humari soch badli
Naadani ab duniyadaari mein badal gayi

Kab ek nazuk si kali, hasti khilkhilati hui
Ab dikhti hai aapnon ko kadi dhoop se bachhati hui
Aapno ki khushiyon ke liye aapni zindagi luutati hui
Samajh nahi aata hai ab use kab ye samajhdaari aayi
Par fakr hai use ki unke kaam to aayi

Kya hota agar sab uski zindagi mein log sab sacche hote
Kya hota agar pyar ek kashmakash na hoti
Kya hota agar uske sapnon ko par na dete
Bus aaj saat samundar paar sapnon ko nayi uddan na deti

Gaaron ke beech aapno ki parakh
Zindagi hi seekhati hai
Jahan jao khushiyan baato
Ye jasba de jati hai

Pal do ya chaar hain iss zindagi ke bache
Jeena abhi bhi seekh lo
Uss bebbak hasi ke waaste nai
To uss bache ke bare mein soch ke jee lo
Khada hai jo kadi dhoop mein, jane to ghar nai
Kapde ka naam na lo, khane ko jhoothan tak nahi

Kya rakha hai iss zindagi mein
Kis baat ki daaud hai
Bhale hi wo naadan nahi
Par wo muskaan hai

Tags: Motivation

Sign In to know Author