Na koi gum hota, na koi khushi hoti,
Phir ye aankhaen kabhi naem na hoti.
Tum jo na hoti, phir mai bhi na hoti,
Phir ye aankhaen kabhi naem na hoti.

Choti si iss zindagi me bediyaan na hoti,
Khul ke jeene ki azadi hoti,
Ye jhoothi shaan na hoti,
Phir ye aankhaen kabhi naem na hoti.

Tu jo haasti phir mai bhi haasti,
Tere liye jeeti marti,
Tere haar dard ko mehsoosh krti,
Tere chehre ki hassi ki liye kuch bhi krti,
Kash tu meri baat samjhti,
Phir ye aankhaen kabhi naem na hoti.

Sign In to know Author