Saleti rang ke baalon waali madam ne pucha hoga,
Chhutpan mein Har Bachpan se..

Ke mujhko tum ye aaj batao..Bade hokar kya banana hai..
Nanhe se in pairo ko kitni dur tak chalna hai..

Aur neta, pilot, police, sipahi ki awaajon se Chutpan Gunj pada..
Nanhe Chidiyo ka ik jhund jaise udne ko betaab sa ho..

Sun kar sabki awaajein.. Wo chidiya si udti aayi..
Ik kone mein mujhko yun gumsum baitha jo dekh rahi thi..

Nazar kamjor thi par.. aenak halki si kuch utar ke...
Sawaalon ke chashmein ko ankhon par chadha kar ..Taktaki baandh wo dekhne lagin..

Fir wahi sawaal jo shabdon mein pucha tha..
Wo maathein par ek marod liye..ankhon se puchne lagin...

Ki bade hokar kya banana hai..
In nanhe pairo mein itni himmat hai ke kuch dur inhe bhi chalna hai ?

Taakta agal main.. Par idhar to kuan tha..
Jhaankta Bagal main to udhar bhi khaai thi...
Ghbaraya sa main apni kitaabon ko tatolne laga..

Kuch dhundh raha tha dhool ke uss gubbare mein..
jo mere baste se udakar unki aenak par jaa baitha tha...

Kuch sukoon hua ki ye ret ke qatre to shayad mere sang hain..
Par Madamji ki nigahein to ab bhi gadi thi mujh par ..
Majaal hai jo wo iss dhul se ratti bhar bhi tang hain..

Kuch soch kar.. Saanso ko lamba kar.. Ahein bharte hue Maine bola tha..

Mera to bus ik sapna hai...Nanhe pairo se chalte chalte.. Raston ke kaante chunana hai..
Aur Phoolon ki kyaariyan ki lambi katarein bo kar.. Shabdon ka Gulzar bunana hai..

Palat ke dekha... Baat samjh mein meri kisi ko naa aayi thi..
Madam ji ke marathon par Bohein pehle se bhi jyada tan aayi thi..

Chutpan mein Uss Bachpan ke shabdon ko jaise koi samjh hi nahi paa raha tha..
Nanhe se unn pairo se mein kitna hi dur chala jaa raha tha..

Sign In to know Author