Kaee saal pehle duniya me hoe meri amad
Paida hoe hakoomat me nam paya khushamad

Ub hur ufsar k dil me howa basera
Jahan jati ujalay me karti undhera

Jub umr barhi meri ki me ne shadi
Dolhan bani rishwat ki mulkoun ki hoe barbadi

Ub tu wo haal tha yuk na shud do shud
Hamare raj me kho daite hain sudh budh

Beimani na insafi hain mere bachay
maqsad gumrahi phelana jahan pohncahin

rahin gay yahi jub tuk hai dunya qayam
mita dain gay sub aisay hain azaaim

Tags: Poetry

Sign In to know Author