Koi toa ho jo meri fikr ka kinara banay
Koi jo nazm jaga de ghazal ka chara banay

Koi jo meray takhayyul ke taar choo ke kabhi
Koi ilhaam kisee tarz ka ishaara banay..

Keh Jis ka ranj meri har nasar ka mudaa ho
Jis kee muskaan meray gham ka iste-aara banay…

Koi jo besabab ashkoan ka sabab ban jaye…
jo meri annkh se toota hua sitara banay…

Kabhi woh mujhko moaziz kabhe badnamm karay
Ussay ho haq mujhe manzoor jo gawaara banay…

Wohh meri zeest mein dhal ker mera maani ho le…
Uski har deed meray wajd ka nazaara banay….

Bohat hua mein thak chukka hun tera ho ho kar
Aaj who aye kaheen se jo ab humara banay…

Banjh thee kokh wafa ki meray weeranay mein…
Wagarna kitnay abr aye abr-e-baraan banay…

Mein eik khwab ki parchaaion mein jeeta hun
Gar wohh tabeer mein dhal jaye.. kya khudara banay

Kabhi jo visl ki manzil thee raasta ban kar
Kharee hai aaj meray hijar ka duwara banay…

Sikha diya hai bebasi ne aarzoo karna…
Kissay tha shauq yeh keh aarzoo ka mara banay…

Sign In to know Author